Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_326e5aaef6d31a08ea62355d88525914, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Shisha Lab Se Juda Nahin Hota - Aziz Warsi Poetry In English - Darsaal

Shisha Lab Se Juda Nahin Hota

shisha lab se juda nahin hota

nashsha phir bhi siwa nahin hota

dard-e-dil jab siwa nahin hota

ishq mein kuchh maza nahin hota

har nazar surmagin to hoti hai

har hasin dilruba nahin hota

han ye duniya bura banati hai

warna insan bura nahin hota

asr-e-hazir hai jab qayamat-KHez

hashr phir kyun bapa nahin hota

parsa rind ho to sakta hai

rind kyun parsa nahin hota

sher ke fan mein aur bayan mein 'aziz'

'momin' ab dusra nahin hota

(968) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shisha Lab Se Juda Nahin Hota In English By Famous Poet Aziz Warsi. Shisha Lab Se Juda Nahin Hota is written by Aziz Warsi. Read famous Poem Shisha Lab Se Juda Nahin Hota for youth and Student by Aziz Warsi. Free Download Shisha Lab Se Juda Nahin Hota in PDF.