KHushi Mahsus Karta Hun Na Gham Mahsus Karta Hun
KHushi mahsus karta hun na gham mahsus karta hun
bahr-alam tumhaara hi karam mahsus karta hun
alam apna to duniya mein sabhi mahsus karte hain
magar main hun ki duniya ka alam mahsus karta hun
bas itni baat par momin mujhe kafir samajhte hain
dar-e-jaanan ko mehrab-e-haram mahsus karta hun
abhi saqi ka faiz-e-am shayad na-mukammal hai
abhi kuchh imtiyaz-e-besh-o-kam mahsus karta hun
haram walon ko ahl-e-but-kada kuchh bhi samajhte hon
magar main but-kade ko bhi haram mahsus karta hun
meri taqdir se pahle sanwarna jin ka mushkil hai
teri zulfon mein kuchh aise bhi KHam mahsus karta hun
'aziz'-e-warsi ye bhi kisi ka mujh pe ehsan hai
ki har mahfil mein ab apna bharam mahsus karta hun
(975) Peoples Rate This