Ek Hum Ki Un Ke Waste Mahw-e-fughan Rahe
ek hum ki un ke waste mahw-e-fughan rahe
ek wo ki dast-e-shauq se daman-kashan rahe
dil mein yahi KHalish rahe soz-e-nihan rahe
lekin mazaq-e-ishq-o-mohabbat jawan rahe
ek waqt tha ki dil ko sukun ki talash thi
aur ab ye aarzu hai ki dard-e-nihan rahe
ahl-e-wafa par aain hazaron musibaten
ye sab rahin-e-gardish-e-haft-asman rahe
un ka shabab har gul-e-nauras se phaT paDa
chhupne ke bawajud wo har su ayan rahe
hum ne hazar tarah kiya un ko mutmain
har baat par wo hum se magar bad-guman rahe
allah re talKH-kaami-e-ulfat ki intiha
mujh se mere 'aziz' bhi daman-kashan rahe
(953) Peoples Rate This