AaKHir-e-shab Wo Teri AngDai
aaKHir-e-shab wo teri angDai
kahkashan bhi falak pe sharmai
aap ne jab tawajjoh farmai
gulshan-e-zist mein bahaar aai
dastan jab bhi apni dohrai
gham ne ki hai baDi pazirai
sajda-rezi ko kaise tark karun
hai yahi wajh-e-izzat-afzai
tum ne apna niyaz-mand kaha
aaj meri murad bar aai
aap farmaiye kahan jaun
aap ke dar se hai shanasai
us ki taqdir mein hai wasl ki shab
jis ne bardasht ki hai tanhai
raat pahlu mein aap the be-shak
raat mujh ko bhi KHub nind aai
main hun yun ism-ba-musamma 'aziz'
waris-e-pak ka hun shaidai
(1008) Peoples Rate This