Ajib Kaifiyat AaKHir Talak Rahi Dil Ki
ajib kaifiyat aaKHir talak rahi dil ki
faraaz-e-dar mein bhi justuju thi manzil ki
wo husn jis se mila hai mujhe shuur-e-wafa
KHuda nahin tha to kyun wahi-e-ishq nazil ki
tarashe kitne hi but aazari ke fan ne magar
mili na ek bhi surat tere muqabil ki
ab aankhen band hain taki koi samajh na sake
meri nigah mein taswir hogi qatil ki
dimagh dida o dil sab ne rokna chaha
magar junun ne meri har dalil baatil ki
isi ko kahte hain sahil pe rah ke tishna-labi
talash hai teri mahfil mein jaan-e-mahfil ki
ye baat sach hai ki marna sabhi ko hai lekin
alag hi hoti hai lazzat nigah-e-qatil ki
tha rahbaron pe bharosa to ab bhaTakta hun
mujhe KHabar hi nahin thi fareb-e-manzil ki
miyan 'shahid' ye mana ki tum bhi shaer ho
magar batao ki haq aagahi bhi hasil ki
(1024) Peoples Rate This