Yaad
shab ki chadar oDh kar aai hai
lamhon ki mahakti dhul mein lipTi hui
meri jaanib dhire dhire baDh rahi hai
aur main apne bistar-e-KHashak-o-KHas par
nim-wa aankhon se dhundli raushni ko
der se takta hua
dam-ba-KHud hun jhilmilati soch mein khoya hua
wo qarib aati hai
meri sans mein shoale jagati hai
meri dhaDkan ki lai ko kar rahi hai tez-tar
aur mujhe bedar-tar hoshyar-tar
hath jab baDhte hain chhune ke liye
aur ho jati hain gahri chadar-e-shab ki tahen
aur chha jati hai sanwlae hue lamhon ki dhul
yaad ban jati hai ek mauhum bhul
(830) Peoples Rate This