Safar Mudam Safar
zamane ke koh-e-giran ki surangon mein
jalti hui mishalen le ke
sham o sahar DhunDhta hun
ki koi kiran koi rauzan koi mauj-e-ba-e-taza
jo mil jae main mawara-e-nazar ki jhalak pa sakun
is bhayanak andhere mein ghuTte hue ji ko bahla sakun
main jab pahli bar in surangon mein daKHil hua tha
mujhe kya KHabar thi yahan se mafar ki koi rah mumkin nahin
har daqiqa mujhe aur uljhaega
sina-koh ki pech-dar-pech rahon mein
har pal ki parchhain tarikiyon mein izafa karegi
mujhe kya KHabar thi ki har aarzu mujh ko maqsud se dur-tar kar sakegi
magar mere dil mein ye kaisi KHalish hai
ki har paspai nau-ba-nau
mujh ko sai-e-musalsal pe uksa rahi hai
surangon ki wahshat nazar ke shararon ko bhaDka rahi hai
mujhe justuju aage le ja rahi hai
(779) Peoples Rate This