Qissa-e-dard
chand ne muskura kar kaha
dosto
qissa-e-dard chheDe sar-e-rah kaun
phir bhi tare musir the
ki hum aaj ki shab sunenge
wahi an-suni dastan
der tak chand socha kiya
dur aafaq ki samt dekha kiya
aur taron ki aankhen chhalakti rahin
raat ke daman-e-tar ko
aahista aahista
lamhon ka ThanDa lahu
jazb ho ho ke rangin karta raha
na-gahan ek nadida zarrin raqam
dast-e-simin baDha aur ufuq-ta-ufuq
ek jumbish mein khinche hazaron karoDon talai KHutut
Dub kar rah gae shab ke sare nuqut
chashm-e-afaq se
awwalin qatra-e-dard Tapka
kisi barg-e-nau-KHez par
aks-e-anjam ruKHsar-e-aghaz par
(760) Peoples Rate This