Meri AahaT
meri aahaT gunj rahi hai
duniya ki har rahguzar mein
usha mere naqsh-e-qadam par
KHushbu ki pichkari le kar
rang chhiDakti jati hai
suraj ke albele mughanni
jumbish pa ke sargam par
sangit sunate jate hain
saji-sajai sham ki dulhan
shab ki siyah-andam abhagan
mere man ki nazuk dhaDkan
ek hi tal pe lahraati hain
chanchal lahren sarkash zarre
kohre ki banhon mein sae
gard-e-kaf-e-pa ke sayyare
ek hi gat par nach rahe hain
meri aahaT gunj rahi hai
duniya ki har rahguzar mein
phir bhi yun lagta hai jaise
ye giti ba-wasf-e-wusat
ek akeli basti hai
aur jaise har bazm-arai
ek izhaar-e-tanhai hai
aur jaise ye chand sitare
suraj, dariya, sahra
mausam barr-e-azam
sab mauhum dhundalke hain
sab meri painda ana ke jalte bujhte haale hain
sab aawazen fani hain
ek meri aahaT lafani hai
(839) Peoples Rate This