Kahani
baDi lambi kahani hai sunoge?
sahar ki aankh khulne bhi na pai thi
mere tarkash ne lakhon tir barsae shuaon ke
kisi ne aaftabana har ek zarre ko chamkaya
kisi ne mahtabi chadaren har samt phailain
koi jugnu ki surat jhilmilaya
inhin bikhre hue tiron ke zer-e-saya
main chalta raha
har moD pe koi na koi waqia
koi na koi hadsa
mere ujale ko lipaT kar chaT kar
dimak-zada karta raha lekin
safar ki dhun salamat
jumbish-e-pa aage baDhti hi rahi
koh-e-giran piste rahe
sagar ki lahren dam-ba-KHud hoti rahin
main baDhte baDhte sarhad-e-imroz tak aa pahuncha
ye mana dur hai manzil
ye mana aabla-pa hun
ghubar-e-gardish-e-ayyam mein lipTa hua
lekin abhi phaila hua hai silsila mere ujalon ka
abhi tarkash mein lakhon tir baqi hain
abhi meri kahani KHatm ko pahunchi nahin hai
ye baDi lambi kahani hai
(893) Peoples Rate This