Chandni Raat Mein
aur main chandni raat mein so gaya
dekhta kya hun
phaili hui chandni ke kinare kinare
kai barq-raftar parchhaiyan
jaane kab se taaqub-kunan
samt-e-na-ashna ki taraf hain rawan
aur main aahista aahista aage baDha
rahgiron se daman bachata hua
hadd-e-afaq se jab guzarne laga
dekhta kya hun
ek be-karan bahr hai aasman se zamin tak muhit
jis mein har saya-e-tez-rau Dub kar
dhaar leta hai bhige ujale ka rup
main bhi Duba hun is bahr mein bar-ha
chandni ki jhalak bhi na pai kahin
jism o jaan ki siyahi ubharti rahi
aur har bar tarik mahaul mein
aankh khulti rahi
chandni raat mein!!
(842) Peoples Rate This