Zindagi Yun To Guzar Jati Hai Aaram Ke Sath
zindagi yun to guzar jati hai aaram ke sath
kashmakash si hai magar gardish-e-ayyam ke sath
rifaten dekhti rah jati hain us ki parwaz
wo tasawwur ki hai wabasta tere nam ke sath
mil hi jaegi kabhi manzil-e-maqsud-e-sahar
shart ye hai ki safar karte raho sham ke sath
dam-e-hasti hai KHush-aind bhi dilkash bhi magar
uDte jate hain giraftar usi dam ke sath
jab kisi lamha-e-dauran ko TaTola hum ne
ru-e-aghaz nazar aaya hai anjam ke sath
un riwayat ko dohraate hain hum az-sar-e-nau
wo jo mansub hain sadiyon se tere nam ke sath
harf aae na 'tamannai' kahin saqi par
aaj mahfil mein chale aae hain hum jam ke sath
(1044) Peoples Rate This