Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_8bdff099583f445b6ab24dfe1a4840bb, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Usi Ne Sath Diya Zindagi Ki Rahon Mein - Aziz Tamannai Poetry In English - Darsaal

Usi Ne Sath Diya Zindagi Ki Rahon Mein

usi ne sath diya zindagi ki rahon mein

wo ek charagh jo jalta raha nigahon mein

shamim-e-gul se subuk-tar kiran se nazuk-tar

koi latif si shai aa gai hai bahon mein

ye kis ki hashr-KHirami ki baat uTThi hai

hamara nam pukara gaya gawahon mein

KHabar na thi ki wahi apni yun KHabar lenge

shumar karte the hum jin ko KHair-KHwahon mein

abhi hain rakh mein chingariyan dabi lekin

maza kahan hai wo pahla sa ab ki chahun mein

hamin ne zist ke har rup ko sanwara hai

luTa ke raushani-e-taba jalwa-gahon mein

ragon mein jaise rawan hai lahu 'tamannai'

kisi ki mauj-e-karam hai mere gunahon mein

(868) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Usi Ne Sath Diya Zindagi Ki Rahon Mein In English By Famous Poet Aziz Tamannai. Usi Ne Sath Diya Zindagi Ki Rahon Mein is written by Aziz Tamannai. Read famous Poem Usi Ne Sath Diya Zindagi Ki Rahon Mein for youth and Student by Aziz Tamannai. Free Download Usi Ne Sath Diya Zindagi Ki Rahon Mein in PDF.