Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_38a5ae425b13abb217a690029b5305bf, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Har Ek Rang Mein Yun Dub Kar Nikharte Rahe - Aziz Tamannai Poetry In English - Darsaal

Har Ek Rang Mein Yun Dub Kar Nikharte Rahe

har ek rang mein yun Dub kar nikharte rahe

KHutut naqsh-e-musawwir mein rang bharte rahe

KHuda bachae bagulon ki zad mein aae hain

wo barg-e-sabz jo mauj-e-hawa se Darte rahe

unhin ke panw se lipTi hui hai mauj-e-hayat

jo be kanar samundar ke par utarte rahe

kahan thi jurat-e-nazzara-e-jamal-e-sahar

agarche gesu-e-shab raat-bhar sanwarte rahe

wahin bahaar-ba-kaf qafile lapak ke chale

jahan jahan tere naqsh-e-qadam ubharte rahe

agarche basta-e-dam-e-KHayal the lekin

kushuda uqda-e-lail-o-nahaar karte rahe

unhin ke sath hai apna safar 'tamannai'

wo KHush-KHiram jo har daur se guzarte rahe

(935) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har Ek Rang Mein Yun Dub Kar Nikharte Rahe In English By Famous Poet Aziz Tamannai. Har Ek Rang Mein Yun Dub Kar Nikharte Rahe is written by Aziz Tamannai. Read famous Poem Har Ek Rang Mein Yun Dub Kar Nikharte Rahe for youth and Student by Aziz Tamannai. Free Download Har Ek Rang Mein Yun Dub Kar Nikharte Rahe in PDF.