Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_2544260f4ba3a7d9909749a9af96ff07, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Dil Mein Wo Dard UTha Raat Ki Hum So Na Sake - Aziz Tamannai Poetry In English - Darsaal

Dil Mein Wo Dard UTha Raat Ki Hum So Na Sake

dil mein wo dard uTha raat ki hum so na sake

aise bikhre the KHayalat ki hum so na sake

thapkiyan dete rahe ThanDi hawa ke jhonke

is qadar jal uThe jazbaat ki hum so na sake

aankhen takti rahin takti rahin aur thak bhi gain

hae-re pas-e-riwayat ki hum so na sake

ye bhi sach hai ki na hushiyar na bedar the hum

ye bhi sachchi hai magar baat ki hum so na sake

ek do pal ke liye hum ko ata ho jae

nind ai qibla-e-hajat ki hum so na sake

saz-e-dauran pe kuchh is tarah se angusht-e-hayat

chheDti jati thi naghmat ki hum so na sake

ek sannaTa tha aawaz na thi aur na jawab

dil mein itne the sawalat ki hum so na sake

jhilmilate rahe tarik shabistan ke pare

aise bite hue lamhat ki hum so na sake

raat bhar dasht-e-tasawwur mein bhaTakte hi rahe

jaane kya un se hui baat ki hum so na sake

umr bhar yun to 'tamannai' rahe tesha-ba-kaf

itni sangin thi har raat ki hum so na sake

(1119) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Mein Wo Dard UTha Raat Ki Hum So Na Sake In English By Famous Poet Aziz Tamannai. Dil Mein Wo Dard UTha Raat Ki Hum So Na Sake is written by Aziz Tamannai. Read famous Poem Dil Mein Wo Dard UTha Raat Ki Hum So Na Sake for youth and Student by Aziz Tamannai. Free Download Dil Mein Wo Dard UTha Raat Ki Hum So Na Sake in PDF.