BaDhne De Abhi Kashmakash-e-tar-e-nafas Aur
baDhne de abhi kashmakash-e-tar-e-nafas aur
ai gosh-bar-awaz zara der taras aur
hum mail-e-parwaz rahe jitni lagan se
uThti hi gai utni hi diwar-e-qafas aur
ye aatish-e-shauq aur ye do-chaar phuwaren
ai abr-e-siyah-mast zara khul ke baras aur
ek qafila-e-zist bichhaD jae to kya gham
aati hai bahut dur se aawaz-e-jaras aur
farda mein bahaaron ke nishan DhunDne walo
kya hoga zamane ka chalan ab ke baras aur
hum ne jo 'tamannai' bayaban-e-talab mein
ek umr guzari hai to do-chaar baras aur
(792) Peoples Rate This