Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_4ac7a16f5ca99f87c86b18d7e519e893, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ab Kaun Si Mata-e-safar Dil Ke Pas Hai - Aziz Tamannai Poetry In English - Darsaal

Ab Kaun Si Mata-e-safar Dil Ke Pas Hai

ab kaun si mata-e-safar dil ke pas hai

ek raushani-e-subh thi wo bhi udas hai

ek ek karke fash hue ja rahe hain raaz

shayad ye kaenat qarin-e-qayas hai

samjha gai ye talKHi-e-paiham firaq ki

ek muzhda-e-visal mein kitni miThas hai

har chiz aa rahi hai nazar apne rup mein

utra hua fareb-e-nazar ka libas hai

ek gardish-e-dawam mein roz azal se hai

wo chashm-e-ba-KHabar ki jo mardum-shanas hai

fitrat kahan thi apni 'tamannai' shabnami

lekin kisi ki shoala-nigahi ka pas hai

(1059) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ab Kaun Si Mata-e-safar Dil Ke Pas Hai In English By Famous Poet Aziz Tamannai. Ab Kaun Si Mata-e-safar Dil Ke Pas Hai is written by Aziz Tamannai. Read famous Poem Ab Kaun Si Mata-e-safar Dil Ke Pas Hai for youth and Student by Aziz Tamannai. Free Download Ab Kaun Si Mata-e-safar Dil Ke Pas Hai in PDF.