Kamal-e-husn Ka Jab Bhi KHayal Aaya Hai
kamal-e-husn ka jab bhi KHayal aaya hai
misal-e-sher tera nam dil pe utra hai
main apne aap ko dekhun to kis tarah dekhun
ki mere gird meri zat hi ka parda hai
main falsafi na payambar ki rah batlaun
har ek shaKHs mujhi se sawal karta hai
ye sach hai main bhi taghayyur ki zad se bach na saka
sawal ye hai ki tu bhi to kitna badla hai
tere KHulus ki chadar simaT gai shayad
mera wajud mujhe ajnabi sa lagta hai
abhi to haalat-e-dil ka sudhaar hai mushkil
abhi to teri judai ka zaKHm taza hai
'aziz' apne tazadat hi miTa Dalo
ye kaun puchh raha hai zamana kaisa hai
(726) Peoples Rate This