Raftagan
tum yahan so jao
tum ko ye jagah bhi gar na milti tum gila hum se na karte
hum tumhaare sath kuchh miTTi diye jate hain
isi miTTi se ab ham-rang ho jao
ye sannaTa tumhaare sath hai ab is se ham-ahang ho jao
tumhaare chand suraj mar chuke hain
tumhaari raushni
zulmat
umid o na-umidi
naw kaghaz ki
gharaunde ret ke
bachpan jawani, umr ka ek ek lamha
tum jo murda aur zinda chhoDe jate ho
wo hum auron ko de denge
akele jis tarah aae ho tum wo sab bhi aaenge yahan tak
sab ye warna chhoD jaenge!
koi rahzan bane ya rah roke
ham-safar ho ya koi rasta dikhae
apna rasta sab ko tanha par karna hai
hamara kaam suli par chaDhana hai so hum karte hain
lekin bojh suli ka tumhein ko hai uThana
tum yahan so jao
apna bojh uThae hum bhi aaenge
hamare chand suraj bhi marenge!
(1074) Peoples Rate This