Kawak
sab aankhen Tangon mein jaDi hain
riDh ki haDDi ke mankon mein kan lage hain
naf ke upar roen roen mein ek zaban hai
patlunen sari aawazen sun leti hain
do patlunen jhagaD rahi hain
itni qimat kyun leti ho tum mein aisi kya KHubi hai
kaise gahak ho tum aaKHir mol badan ka de sakte ho
pati-warta ka mol tumhaare pas nahin hai
chust nukila brazier ye chiKH raha hai
sharm nahin aati kutton ko charch ke aage khaDe hue hain
rustam Tharra piye khaDa hai bus-stop ki chhat ke niche
aur sohrab se puchh raha hai
beTa mal kahan milta hai?
mandir ki chaukhaT par baiThi andhi aankhen
aate jate autaron ki KHufiya jeben tak rahi hain
haspatal ke unche niche zinon par ek ek murde ko
gandhi ji donon hathon se injection dete phirte hain
washington wietnam mein baiTha barham-putr ke pani ko whiskey ke jam mein ghol raha hai
london lanka ki saDkon pe sar niwDhae ghum raha hai
kangon aawara phirta hai paris ke gande chaklon mein
budh ke TuTe-phuTe but ke sar par buDha kargas
murdon ki majlis mein baiTha apni bipta suna raha hai
masjid ke sae mein baiTha kam-sin gidaD
us ki gawahi mein kahta hai
bechaara kam-sin hai us ki chonch se ab tak
dudh ki KHushbu si aati hai
upar nile khule gagan mein
ek kabutar apni chonch mein ek zaitun ki shaKH liye uDta phirta hai
aur us shaKH ke donon jaanib
atom bomb ke pat lage hain
insan ka dayan bazu ek barg-e-KHizan ki tarah laraz kar TuT raha hai
aur us ke baen bazu par koh-e-himala dhara hua hai
jaane phir bhi wo talwar ki dhaar pe kaise chal sakta hai
main is bhiD mein chaurahe par tanha baiTha soch raha hun
duniya israfil ke pahle sur ke baad yunhi lagti hai
gas ke kamre mein shayad yunhi hota hai
pop pal ki Topi mere bheje mein dhansti jati hai
(1222) Peoples Rate This