Gharib Shahr
ajib hain meri baaten ajib hai ehsas
tumhein KHuda na kare ye guman guzarte hon
ki bambai ka ye gambhir sin-rasida shahr
imaraton ka ye phaila hua ghana jangal
malamaton ka balaon ka raqs-KHana hai
har ek shaKHs hai aaseb-e-zar mein naza-ba-lab
ki sans khul nahin sakti hai mar nahin sakta
ajib hain meri baaten ajib hai ehsas
tumhein KHuda na kare ye guman guzarte hon
ki bambai ka hasin shahr koi aurat hai
saji-sajai sanwari hui jawan aurat
pa jis ki ruh gunahon ka ek jahannam hai
jawan jism jhulaste hain us ke shoalon mein
magar ye jaan ke har ek jawan hai mohr-ba-lab
mere gunah ko ruswaiyan nahin miltin
ajib hain meri baaten ajib hai ehsas
tumhein KHuda na kare ye guman guzarte hon
ye shahr shahr nigaran-e-mah-paiakar hai
yahan pe chand andheron mein qatl hote hain
yahan hunar ko mata-e-wafa mayassar hai
yahan pe roTiyan rakkhi hain jutiyon ke tale
ajib hain meri baaten ajib hai ehsas
tumhein KHuda na kare ye guman guzarte hon
ki aadmi to bahar-haal be-sahaara hai
yahan sawal mile raston pe soe hue
yahan jawab mile uljhanon mein khoe hue
yahan wo hath mile jin ka lams zinda hai
yahan wo jism mile jin ki aag raushan hai
ajib hain meri baaten ajib hai ehsas
tumhein KHuda na kare ye guman guzarte hon
udas habs-zada dopahar ka har lamha
sabaat-e-tishna-labi aazma ke jata hai
fasana shab-e-hijran ka tul hai jaise
umid-e-wasl mein jina sikha ke jata hai
kuchh aise kaTte hain din raat kya KHabar tum ko
mata-e-umr luTata hun shahr-e-ghurbat mein
tumhaari did ki ummid miT gai hoti
to apni maut ek ilzam thi mohabbat mein
ajib hain meri baaten ajib hai ehsas
tumhein KHuda na kare ye guman guzarte hon
kisi udas shab-e-mah mein kabhi jab main
garajte chiKHte chinghaDte samundar se
ye puchhta hun tujhe kab sukun milta hai
kabhi tahon mein hai halchal kabhi kinaron par
kabhi hai sath pe shoridgi kabhi dil mein
to thoDi der samundar udas rahta hai
phir us ke baad milata hai hath maujon ke
KHuda gawah samundar mujhe bulata hai!
ab aa ki mujh se teri ruh ko ilaqa hai
ab aa ki main to tere pas aa nahin sakta
ajib hain meri baaten ajib hai ehsas
tumhein KHuda na kare ye guman guzarte hon!
(1159) Peoples Rate This