Fasl-e-raegan
har baras in dinon main kahin bhi rahun
silsile abr ke
sust-rau tez-rau qafile abr ke
yunhi aate hain qulzum luTate hue
yunhi jate hain ye un ka dastur hai
lekin ab ke baras
main akela sar-e-dasht tishna khaDa
un ko rah rah ke aawaz deta raha
mujh ko bhi sath lete chalo
qafila chhuT gaya hai mera
silsile abr ke
qafile abr ke
yunhi aate rahe
yunhi jate rahe
kab se aankhon ko hasrat hai barsat ki
(981) Peoples Rate This