Ek Manzar, Ek Aalam
din Dhale
mandiron ke kalas masjidon ke manare gharon ki chhaten
sone chandi ke pani se Dhulne lage
qulla-e-koh se chashm-e-nazzara lekin baDi dur tak
pighle sone ki chadar ke niche taDapta hua
gahri zulmat ka ek bahr-e-zaKHKHar bhi
dekhti rah gai
kaisa manzar hai ye
main abhi umr ke Dhalte suraj ki duniya nahin
phir bhi mere sunahre dopahre tabassum ke niche kahin
aansuon ka samundar na bechain ho
niche aao zara rafat-e-baam se
aur dekho kabhi
kaisa aalam hai ye
(1016) Peoples Rate This