Dad-gar
main jaanta hun ki aansu fana ka lamha hai
use teri nigah-e-jawedan se rabt nahin
main jaanta hun ki tu bhi shikar-e-dauran hai
mata-e-jaan ke siwa is qimar-KHane mein
har ek naqd-e-nafs haar kar pashiman hai
magar ye rabt hai kaisa ye kya talluq hai
ki jab bhi haar ke uTTha jahan ki mahfil se
umang hans ke kaleje pe choT khane ki
hujum-e-dushna-o-KHanjar mein muskurane ki
umang dao pe jaan-e-hazin lagane ki
na jaane kyun mere dil mein KHayal aaya hai
ki ja ke tujh se shikayat karun zamane ki
(1102) Peoples Rate This