Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_33c2abc634b0dd5dabb27381bf92569d, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Bain-ul-admain - Aziz Qaisi Poetry In English - Darsaal

Bain-ul-admain

ye tazad-e-jaan-o-jasad jise

tu visal kah le firaq mein

tu nashat kah le miraq mein

tu ruwaq kah le ki bahr-o-bar

main mazaq kah lun ki KHair-o-shar

tere mere kahne mein kuchh nahin

ki tera yaqin mera guman

ki mera guman tera yaqin

tere dark-o-hosh-o-hawas ki

mere wajd-o-wahm-o-qayas ki

yahi ek pal to asas hai

yahi ek pal tere pas hai

yahi ek pal mere pas hai

isi ek pal ko murur hai

isi ek pal ko dawam hai

isi ek pal ko qayam hai

isi ek pal ko salam hai

na hayat azal na ajal abad

yahi pal azal yahi pal abad!

(1075) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bain-ul-admain In English By Famous Poet Aziz Qaisi. Bain-ul-admain is written by Aziz Qaisi. Read famous Poem Bain-ul-admain for youth and Student by Aziz Qaisi. Free Download Bain-ul-admain in PDF.