Unhen Sawal Hi Lagta Hai Mera Rona Bhi
unhen sawal hi lagta hai mera rona bhi
ajab saza hai jahan mein gharib hona bhi
ye raat raat bhi hai oDhna-bichhauna bhi
is ek raat mein hai jagna bhi sona bhi
wo habs-e-dam hai zamin aasman ki wusat mein
ki aisa tang na hoga lahad ka kona bhi
ajib shahr hai ghar bhi hain raston ki tarah
kise nasib hai raaton ko chhup ke rona bhi
khule mein soenge phir motiya ke phulon se
sajao zulf basa lo zara bichhauna bhi
najat-e-ruh bhi arzan nushur-e-dil ki tarah
hua hai sahl zamiron ke dagh dhona bhi
'aziz' kaisi ye saudagaron ki basti hai
garan hai dil se yahan kaTh ka khilauna bhi
(1399) Peoples Rate This