Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_7de2a35a2d8f6ed868962ac8b2b6ee16, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Uljhao Ka Maza Bhi Teri Baat Hi Mein Tha - Aziz Qaisi Poetry In English - Darsaal

Uljhao Ka Maza Bhi Teri Baat Hi Mein Tha

uljhao ka maza bhi teri baat hi mein tha

tera jawab tere sawalat hi mein tha

saya kisi makin ka bhi jis par na paD saka

wo ghar bhi shahr-e-dil ke mazafat hi mein tha

ilzam kya hai ye bhi na jaana tamam umr

mulzim tamam umr hawalat hi mein tha

yaron ko inhiraf ka jis par raha ghurur

wo rasta bhi dasht-e-riwayat hi mein tha

ab to faqat badan ki murawwat hai darmiyan

tha rabt-e-jaan-o-dil to shuruat hi mein tha

mujh ko jo qatl kar ke manata raha hai jashn

wo bad-nihad shaKHs meri zat hi mein tha

(1032) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Uljhao Ka Maza Bhi Teri Baat Hi Mein Tha In English By Famous Poet Aziz Qaisi. Uljhao Ka Maza Bhi Teri Baat Hi Mein Tha is written by Aziz Qaisi. Read famous Poem Uljhao Ka Maza Bhi Teri Baat Hi Mein Tha for youth and Student by Aziz Qaisi. Free Download Uljhao Ka Maza Bhi Teri Baat Hi Mein Tha in PDF.