MiTa Ke Anjuman-e-arzu Sada Di Hai
miTa ke anjuman-e-arzu sada di hai
chale bhi aao ki har raushni bujha di hai
gar ittifaq se paya hai qatra-e-shabnam
samundaron ko meri pyas ne dua di hai
hujum-e-rah-e-rawan raund kar guzarta hai
bisat dil ki kahan hum ne ye bichha di hai
dilon ka KHun karo salim rakho gareban ko
junun ki rasm zamana hua uTha di hai
na muD ke dekhegi duniya maro na ghuT ghuT ke
ye hadson pe hi bas chaunkne ki aadi hai
kisi ki jaan ka zamin nahin yahan koi
amin-e-shahr ki jaanib se ye munadi hai
kaho jo kahna hai kya pas-e-dard 'qaisi' ka
ki us ne dil se wo buniyaad hi miTa di hai
(1032) Peoples Rate This