Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_e6cf04891264b80eb0d9f48cad4f3b7b, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Jitne The Rang Husn-e-bayan Ke BigaD Gae - Aziz Qaisi Poetry In English - Darsaal

Jitne The Rang Husn-e-bayan Ke BigaD Gae

jitne the rang husn-e-bayan ke bigaD gae

lafzon ke bagh shahar ki surat ujaD gae

is aandhiyon ki fasl mein hai kis bina pe naz

tum kya ho aasmanon ke KHeme ukhaD gae

ye moajiza hayat ka mamul ban gaya

itni dafa charagh hawaon se laD gae

qatre lahu ke jin ko samajhte ho be-numu

akasr zamin-e-shor mein bhi jaD pakaD gae

gardan-faraaziyon yun hai maqtal zamin tamam

kaise kahan ye baat pe tum apni uD gae

(1145) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jitne The Rang Husn-e-bayan Ke BigaD Gae In English By Famous Poet Aziz Qaisi. Jitne The Rang Husn-e-bayan Ke BigaD Gae is written by Aziz Qaisi. Read famous Poem Jitne The Rang Husn-e-bayan Ke BigaD Gae for youth and Student by Aziz Qaisi. Free Download Jitne The Rang Husn-e-bayan Ke BigaD Gae in PDF.