Ye Kis Wahshat-zada Lamhe Mein DaKHil Ho Gae Hain
ye kis wahshat-zada lamhe mein daKHil ho gae hain
hum apne aap ke madd-e-muqabil ho gae hain
kai chehre meri sochon se zail ho gae hain
kai lahje mere lahje mein shamil ho gae hain
KHuda ke nam se tufan mein kashti utari
bhanwar jitne samundar mein the, sahil ho gae hain
wo kuchh pal jin ki ThanDi chhanw mein tum ho hamare
wahi kuchh pal to jiwan bhar ka hasil ho gae hain
ulajhte ja rahe hain justuju ke par musalsal
zamin-ta-asman kitne masail ho gae hain!
'nabil' aawaz bhi apni kahan thi muddaton se
jo tum aae to hum yak-laKHt mahfil ho gae hain
(954) Peoples Rate This