Waqt Ki Aankh Mein Sadiyon Ki Thakan Hai, Main Hun
waqt ki aankh mein sadiyon ki thakan hai, main hun
dhul hote hue raston ka badan hai, main hun
phir tera shahr ubhar aaya hai mere har su
phir wahi log, wahi tarz-e-suKHan hai, main hun
ek tarik sitare ka safar hai darpesh
aur ummid ki ek taza karan hai, main hun
ek jangal hai, ghane peD hain, ek nahr hai aur
ek shikari hai, koi zaKHmi hiran hai, main hun
kaun batlae tujhe ai mere ham-zad 'nabil'
tere ham-rah jo ek aur badan hai, main hun
(1670) Peoples Rate This