Uski Sochen Aur Uski Guftugu Meri Tarah

us ki sochen aur us ki guftugu meri tarah

wo sunahra aadmi tha hu-ba-hu meri tarah

ek barg-e-be-shajar aur ek sada-e-bazgasht

donon aawara phire hain ku-ba-ku meri tarah

chand tare ek diya aur raat ka komal badan

subh-dam bikhre paDe the chaar su meri tarah

lutf aawega bahut ai sakinan-e-qasr-e-naz

be-dar-o-diwar bhi rahiyo kabhu meri tarah

dekhna phir lazzat-e-kaifiyyat-e-tishna-labi

toD de pahle sabhi jam-o-subu meri tarah

ek piyaada sar karega sara maidan-e-jadal

shart hai josh-e-junun aur justuju meri tarah

(947) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Uski Sochen Aur Uski Guftugu Meri Tarah In English By Famous Poet Aziz Nabeel. Uski Sochen Aur Uski Guftugu Meri Tarah is written by Aziz Nabeel. Read famous Poem Uski Sochen Aur Uski Guftugu Meri Tarah for youth and Student by Aziz Nabeel. Free Download Uski Sochen Aur Uski Guftugu Meri Tarah in PDF.