Subh Aur Sham Ke Sab Rang HaTae Hue Hain
subh aur sham ke sab rang haTae hue hain
apni aawaz ko taswir banae hue hain
ab hamein chaak pe rakh ya KHas-o-KHashak samajh
kuza-gar hum teri aawaz pe aae hue hain
hum nahin itne tahi-chashm ki ro bhi na saken
chand aansu abhi aankhon mein bachae hue hain
hum ne KHud apni adalat se saza pai hai
zaKHm jitne bhi hain apne hi kamae hue hain
ai KHuda bhej de ummid ki ek taza kiran
hum sar-e-dast-e-dua hath uThae hue hain
har naya lamha hamein raund ke jata hai ki hum
apni muTThi mein gaya waqt chhupae hue hain
ek muddat hui tum aae na paigham koi
phir bhi kuchh yun hai ki hum aas lagae hue hain
(894) Peoples Rate This