Parinde Jhil Par Ek Rabt-e-ruhani Mein Aae Hain
parinde jhil par ek rabt-e-ruhani mein aae hain
kisi bichhDe hue mausam ki hairani mein aae hain
musalsal dhund halki raushni bhige hue manzar
ye kin barsi hui aaankhon ki nigrani mein aae hain
kai sahil yahan Dube hain aur girdab TuTe hain
kai tufan is Thahre hue pani mein aae hain
main jin lamhon ke sae mein tumhaare pas pahuncha hun
wo lamhe sajda ban kar meri peshani mein aae hain
nazar bhar kar use dekho to yun mahsus hota hai
hazaron rang ek chehre ki tabani mein aae hain
(3037) Peoples Rate This