Mera Sawal Hai Ai Qatilan-e-shab Tum Se
mera sawal hai ai qatilan-e-shab tum se
ki ye zamin munawwar hui hai kab tum se
charagh baKHshe gae shahr-e-be-basarat ko
ye kar-e-KHair bhi sarzad hua ajab tum se
wo ek ishq jo, ab tak hai tishna-e-takmil
wo ek dagh jo raushan hai roz-o-shab tum se
meri numud mein wahshat hai, meri soch mein shor
bahut alag hai meri zindagi ka Dhab tum se
mere KHitab ki shiddat pe chiKHne walo
tumhaare lahje mein goya hua hun ab tum se
shikasta rishton ki hathon mein Dor thame hue
main puchhta hun mere dosto sabab tum se
tumhaare nam ki tohmat hai mere sar pe 'nabil'
juda hai warna mera shajra-e-nasab tum se
(842) Peoples Rate This