Main Nind Ke Aiwan Mein Hairan Tha Kal Shab
main nind ke aiwan mein hairan tha kal shab
ek KHwab meri aankh ka mehman tha kal shab
kis gham mein bikharte rahe aakash pe tare
kyun chand pareshan pareshan tha kal shab
har aan koi yaad chamakti rahe dil mein
har lamha koi shor tha, tufan tha kal shab
kya jaaniye kya us ki nadamat ka sabab tha
kya jaaniye kyun main bhi pasheman tha kal shab
Thahri hui lagti thi hawa aur har ek shai
jaise ki badan waqt ka be-jaan tha kal shab
ek nur sa phaila raha us samt se is samt
jugnu meri ummid ki pahchan tha kal shab
phir subh-e-munawwar ki bashaarat hui mujh ko
phir dur talak rasta aasan tha kal shab
(1064) Peoples Rate This