Main Apne Gird Lakiren Bichhae BaiTha Hun
main apne gird lakiren bichhae baiTha hun
sarae-dard mein Dera jamae baiTha hun
'nabil' ret mein sikke talash karte hue
main apni puri jawani ganwae baiTha hun
ye shahr kya hai nikalta nahin koi ghar se
kai dinon se tamasha lagae baiTha hun
jo log dard ke gahak hain samne aaen
har ek ghaw se parda uThae baiTha hun
bahut talab thi mujhe raushni mein aane ki
so yun hua hai ki aankhen jalae baiTha hun
ye dekho chand, wo suraj, wo us taraf tare
ek aasman zamin par sajae baiTha hun
na jaane kaun sa aalam hai ye aziz-'nabil'
main regzar mein kashti banae baiTha hun
(866) Peoples Rate This