KHayal-o-KHwab Ka Sara Dhuan Utar Chuka Hai
KHayal-o-KHwab ka sara dhuan utar chuka hai
yaqin ke taq mein suraj koi Thahar chuka hai
mujhe uTha ke samundar mein phenkne walo
ye dekho ek jazira yahan ubhar chuka hai
main ek naqsh, jo ab tak na ho saka pura
wo ek rang, jo taswir-e-jaan mein bhar chuka hai
ye koi aur hi hai mujh mein jo jhalakta hai
tumhein talash hai jis ki wo kab ka mar chuka hai
tere jawab ki ummid jaan se bandhe hue
mera sawal hawa mein kahin bikhar chuka hai
na tar-tar hai daman, na hai gareban chaak
ajib shakl junun iKHtiyar kar chuka hai
musafiron se kaho apni pyas bandh rakhen
safar ki ruh mein sahra koi utar chuka hai
wo jab ki tujh se umiden thin meri duniya ko
wo waqt bit chuka hai wo gham guzar chuka hai
'nabil' aisa karo tum bhi bhul jao use
wo shaKHs apni har ek baat se mukar chuka hai
(1097) Peoples Rate This