Is Bar Hawaon Ne Jo Bedad-gari Ki
is bar hawaon ne jo bedad-gari ki
phir mere charaghon ne bhi shorida-sari ki
main ne kisi hanste hue lamhe ki talab mein
is shahr-e-dil-awez mein bas dar-ba-dari ki
kuchh aur wasila mere izhaar ko kam tha
sau main ne meri jaan sada sher-gari ki
ai ahd-e-rawan main tera mehman hua tha
lekin tere logon ne baDi be-KHabari ki
haalanki kai log hain naraaz bhi mujh se
jo baat bhi ki main ne bahr-e-haal khari ki
paDh leti hain lafzon ka tanaffus meri sochen
kuchh dad to di jae meri dida-wari ki
main wo ki hun sadiyon ki masafat ka musafir
har lamhe ki aahaT ne meri ham-safari ki
(850) Peoples Rate This