Guzarne Wali Hawa Ko Bata Diya Gaya Hai

guzarne wali hawa ko bata diya gaya hai

ki KHushbuon ka jazira jala diya gaya hai

zamin ki aankh ka naqsha bana diya gaya hai

aur ek tir faza mein chala diya gaya hai

usi ke dam se tha raushan sipah-e-shab ka alam

wo chand jis ko zamin mein daba diya gaya hai

wo ek raaz! jo muddat se raaz tha hi nahin

us ek raaz se parda uTha diya gaya hai

tumhein pata nahin KHana-ba-dosh ummido?

naya ilaqa sar-e-jaan basa diya gaya hai

jahan hua tha basarat ka qatl-e-am 'nabil'

wahan ek aaina-KHana bana diya gaya hai

(962) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Guzarne Wali Hawa Ko Bata Diya Gaya Hai In English By Famous Poet Aziz Nabeel. Guzarne Wali Hawa Ko Bata Diya Gaya Hai is written by Aziz Nabeel. Read famous Poem Guzarne Wali Hawa Ko Bata Diya Gaya Hai for youth and Student by Aziz Nabeel. Free Download Guzarne Wali Hawa Ko Bata Diya Gaya Hai in PDF.