Dasht-o-sahra Mein Samundar Mein Safar Hai Mera

dasht-o-sahra mein samundar mein safar hai mera

rang phaila hua ta-hadd-e-nazar hai mera

nahin malum, use us ki KHabar hai ki nahin

wo kisi aur ka chehra hai, magar hai mera

tu ne is bar to bas mar hi Dala tha mujhe

main hun zinda to meri jaan hunar hai mera

aaj tak apni hi tardid kiye jata hun

aaj tak mere KHad-o-KHal mein Dar hai mera

baghban aisa ki miTTi mein mila baiTha hun

shaKH-dar-shaKH daraKHton pe asar hai mera

shaeri, ishq, gham-e-rizq, kitaben, ghar-bar

kai samton mein ba-yak-waqt guzar hai mera

(890) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dasht-o-sahra Mein Samundar Mein Safar Hai Mera In English By Famous Poet Aziz Nabeel. Dasht-o-sahra Mein Samundar Mein Safar Hai Mera is written by Aziz Nabeel. Read famous Poem Dasht-o-sahra Mein Samundar Mein Safar Hai Mera for youth and Student by Aziz Nabeel. Free Download Dasht-o-sahra Mein Samundar Mein Safar Hai Mera in PDF.