Aaenge Nazar Subh Ke Aasar Mein Hum Log
aaenge nazar subh ke aasar mein hum log
baiThe hain abhi parda-e-asrar mein hum log
lae gae pahle to sar-e-dasht-e-ijazat
mare gae phir wadi-e-inkar mein hum log
ek manzar-e-hairat mein fana ho gain aankhen
aae the kisi mausam-e-didar mein hum log
har rang hamara hai, har ek rang mein hum hain
taswir hue waqt ki raftar mein hum log
ye KHak-nashini hai bahut, zill-e-ilahi
jachte hi nahin jubba-o-dastar mein hum log
ab yun hai ki ek shaKHs ka matam hai musalsal
chunwae gae hijr ki diwar mein hum log
sunte the ki bikte hain yahan KHwab sunahre
phirte hain tere shahr ke bazar mein hum log
(1046) Peoples Rate This