Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_f3438a6d0cf2de3564c9f290410cbbb5, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Bachpane Ki Yaad - Aziz Lakhnavi Poetry In English - Darsaal

Bachpane Ki Yaad

ai bachpane ki duniya to yaad aa rahi hai

dil se meri sada-e-fariyaad aa rahi hai

rahat suna rahi thi afsana saltanat ka

thi man ki god mujh ko kashana saltanat ka

wo ghar ki dur jis se thi gardish-e-zamana

aazadiyon ka meri aabaad aashiyana

phirti hai ab nazar mein taswir us makan ki

arsh-e-barin se behtar thi sarzamin jahan ki

nazuk-mizaj ban kar wo ruThna machalna

sehn-e-makan mein din bhar wo kudna-uchhalna

allah-re wo taKHayyul allah-re saz-o-saman

duniya ki saltanat thi is zindagi pe qurban

us ahd-e-afyat mein ek bar phir sula de

ai mere ahd-e-mazi phir ek jhalak dikha de

bagh-e-jahan mein rakkha un shadiyon ne mujh ko

rahat ki loriyan din aazadiyon ne mujh ko

be-fikr zindagi thi KHud hosh mujh ko kab tha

ek kaif-e-be-KHudi tha mast-e-mai-e-tarab tha

ai umr-e-rafta tu ne ki mujh se be-walfai

aa ja palaT ke dam bhar main hun tera fidai

dil mein shararten thin kaise ghazab ki pinhan

rag rag mein bijliyan thin josh-e-tarab ki pinhan

hun apni zindagi ka andaza karne wala

jannat se la ke tu ne dozaKH mein mujh ko Dala

(984) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bachpane Ki Yaad In English By Famous Poet Aziz Lakhnavi. Bachpane Ki Yaad is written by Aziz Lakhnavi. Read famous Poem Bachpane Ki Yaad for youth and Student by Aziz Lakhnavi. Free Download Bachpane Ki Yaad in PDF.