Aatish-e-KHamosh
sar-chashma-e-aKHlaq wafa-kesh-o-wafa-kosh
ai mashriq-e-ishraq-e-safa abr-e-KHata-posh
yun tere dil-e-saf mein ishraq-e-mohabbat
jis tarah ki lau subh ko de durr-e-naya-gosh
main kaun hun ek dil hun jise zabt ne mara
kar degi fana mujh ko meri koshish-e-KHamosh
wo dil hun ibarat jo hai nazm-e-abadi se
ek KHun ka nuqta hun main pur-mani-o-pur-josh
jibril mere sath rahe roz-e-azal se
mai-KHan-e-irfan mein shab-o-roz qadah-nosh
kuchh munh se nikal jaen na samjhi hui baaten
rahne do mujhe majlis-e-mai mein yunhi madhosh
sarsabz hun zahir mein magar ai dil-e-KHun-garm
jis tarah hina mein hai nihan aatish-e-KHamosh
dil par ye sitam kyun na ho ham-jins pe tasir
kaba isi gham mein nazar aata hai siyah-posh
ayyub nahin hun koi masum nahin hun
ta-chand mazalim pe rahun sakit-o-KHamosh
hain jitne aqarib wo aqarib se hain bad-tar
ahbab hain wo KHud-gharaz-o-zud-faramosh
dil saf nahin sab hain suKHan-saz-o-suKHan-chin
ye mehr to hai zahr agar nish mein ho nosh
kahte hain jise dost wo is daur mein anqa
samjhe hain jise mehr wo is ahd mein ru-posh
kis daur mein aae hain hum ai majlis-e-saqi
jab rind-e-KHarabaat-nashin ho gae madhosh
dil kya meri aankhon ka hai TuTa hua sota
tufan uTha denge yahi chashma-e-KHas-posh
Thokar se jilata hun mazamin-e-kuhan ko
hai fitna-e-mahshar meri utri hui pa-posh
ham-sang jawahir kabhi patthar nahin hota
har chand tarashe koi sanna-e-safa-kosh
go mujh ko KHuda-dad tabiat ne sanwara
mujrim hun agar hun kabhi ehsan-faramosh
tarkash mein mere tir bahut kam hain magar hain
aise ki uDa den qadar-andaz ke jo hosh
pindar-e-KHudi hai aziz un ko to hamein kiya
hum ishq ke bande hain wafa-kesh-o-wafa-kosh
(1636) Peoples Rate This