Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_a06b68475a1a7bad2087076abd7da34d, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ye Ghalat Hai Ai Dil-e-bad-guman Ki Wahan Kisi Ka Guzar Nahin - Aziz Lakhnavi Poetry In English - Darsaal

Ye Ghalat Hai Ai Dil-e-bad-guman Ki Wahan Kisi Ka Guzar Nahin

ye ghalat hai ai dil-e-bad-guman ki wahan kisi ka guzar nahin

faqat is liye ye hijab hai ki kisi ko tab-e-nazar nahin

kaho kuchh haqiqat-e-mushtahar ki mujhe kahin ki KHabar nahin

ye manazir-e-do-jahan hain kya jo fareb-e-zauq-e-nazar nahin

kisi aah mein nahin soz jab kisi nale mein jab asar nahin

ye kamal-e-sozish-e-dil nahin ye farogh-e-dagh-e-jigar nahin

chamak uTh rahi hai jo pai-ba-pai ye tajalliyon ka KHazana hai

ye hujum-e-barq-e-tapan nahin ye mata-e-dard-e-jigar nahin

ye hai ehtimam-e-hijab kyun ye hai band-o-bast-e-naqab kyun

tumhein aankh bhar ke main dekh lun wo nazar nahin wo jigar nahin

wo rahin-e-lazzat-e-gham hun main na mili azal mein jise tarab

main hi us karam ka tha muntazir main hi mustahiq tha magar nahin

kabhi waqt-e-naz-o-niyaz hai kabhi mahw-e-zulf-e-ayaz hai

magar us pe bhi dil-e-ghaznawi karam-ashna-e-nazar nahin

ye tayyunat-e-nizam the faqat ek parda-e-masiwa

KHabar us ki jab se hui mujhe koi is jahan ki KHabar nahin

tujhe kar-gah-e-fana bata inhi hastiyon pe ghurur hai

jo sharik-e-sud-o-ziyan nahin jo rahin-e-naf-o-zarar nahin

chamak ai charagh-e-zamir ab ki tulua mehr-e-kamal ho

wo lahad hun tira-o-tar main ki jahan bayaz-e-sahar nahin

na wo soz hai na wo saz hai na wo dil KHazana-e-raaz hai

wo sharar hun jis mein dhuan nahin wo hajar hun jis mein sharar nahin

nazar us ki hai meri samt abhi mera daman-e-goharin na dekh

abhi KHun-e-dil hai ruka hua abhi aansuon se ye tar nahin

chamak ai tajalli-e-dil-ruba nikal ai KHulasa-e-dua

ki nazara-e-do-jahan faqat ye maal-e-zauq-e-nazar nahin

ye jubba-sai-e-be-mahal mujhe shab ko de rahi thi KHabar

na miTa de zulmat-e-dahr jo wo nishan-e-sajda-e-dar nahin

ye taghayyuraat-e-jahan nahin asar-e-talawwun-e-taba hai

teri ek nazar ka karishma ye falak ki gardish-e-sar nahin

kaho shama se ki ye naql kya koi apna qissa-e-gham kahe

kare ab fasane ko muKHtasar ki mujhe umid-e-sahar nahin

hai talash apni faqat mujhe main milun to hongi shikayaten

mujhe ab kisi se gila nahin mujhe ab kisi ki KHabar nahin

yahi manzilen hain wo manzilen ki jahannam un se panah le

dil-e-na-shanas-e-rah-e-wafa mujhe koi KHauf-o-KHatar nahin

meri ghaflaton ka gila na kar yahi nazm-e-kaun-o-fasad hai

KHabar is tilism-e-numud ki mujhe ho chuki hai magar nahin

sabaq us se le ki KHabar mile tujhe aane wale zamane ki

hai taghayyuraat ka aaina ye shikasta kasa-e-sar nahin

ye hain dar teri nigah ke kisi na-tawan se rukenge kya

dil-e-dagh dagh-e-'aziz' hai sitam-azma ye sipar nahin

(1028) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Ghalat Hai Ai Dil-e-bad-guman Ki Wahan Kisi Ka Guzar Nahin In English By Famous Poet Aziz Lakhnavi. Ye Ghalat Hai Ai Dil-e-bad-guman Ki Wahan Kisi Ka Guzar Nahin is written by Aziz Lakhnavi. Read famous Poem Ye Ghalat Hai Ai Dil-e-bad-guman Ki Wahan Kisi Ka Guzar Nahin for youth and Student by Aziz Lakhnavi. Free Download Ye Ghalat Hai Ai Dil-e-bad-guman Ki Wahan Kisi Ka Guzar Nahin in PDF.