Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_10ac5323c4e346a25001e28ca64d3cb3, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Waiz Butan-e-dair Se Nafrat Na Kijiye - Aziz Lakhnavi Poetry In English - Darsaal

Waiz Butan-e-dair Se Nafrat Na Kijiye

waiz butan-e-dair se nafrat na kijiye

kaj-bahsi-e-majaz-o-haqiqat na kijiye

uThiye na aap bazm se ghusse mein is qadar

jata hun main huzur qayamat na kijiye

yaad aa hi jata hai kabhi naseh ka qaul bhi

sab kijiye jahan mein mohabbat na kijiye

bedad aur us pe ye takid al-hazar

aa jae dam labon pe shikayat na kijiye

zindon mein ab shumar nahin hazrat-e-'aziz'

kahte the aap se ki mohabbat na kijiye

(1165) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Waiz Butan-e-dair Se Nafrat Na Kijiye In English By Famous Poet Aziz Lakhnavi. Waiz Butan-e-dair Se Nafrat Na Kijiye is written by Aziz Lakhnavi. Read famous Poem Waiz Butan-e-dair Se Nafrat Na Kijiye for youth and Student by Aziz Lakhnavi. Free Download Waiz Butan-e-dair Se Nafrat Na Kijiye in PDF.