Saf Baatin Der Se Hain Muntazir
saf baatin der se hain muntazir
saqiya KHuz ma-safa da ma-kadar
phir hayat-e-chand-roza ka maal
maut par jab zindagi hai munhasir
rut badalte hi faza mein gunj uTha
naghma-e-ya-ayyohas-saqi adir
aise wadi mein nahin kya rahnuma
KHud jahan gum-karda manzil hun KHizar
mashwara rahmat se kar ai adl-e-haq
kya saza jo ho KHata ka KHud muqir
kyun hai asrar-e-do-alam ki talash
parda-e-dil mein hain tere musattir
kyun meri diwangi badnam hai
un ki aankhen KHud huin jab mushtahar
al-hazar pir-e-falak ki sar-kashi
dekhne mein tu hai utna munkasir
kho chuka aankhen magar ai barq-e-husn
dil rahega aur rahega muntazir
sun le faryaad-e-'aziz' jaan-ba-lab
rabb-e-inni mustaghiso fal-faqra
(1106) Peoples Rate This