Rasm Aison Se BaDhana Hi Na Tha
rasm aison se baDhana hi na tha
KHidmat-e-naseh mein jaana hi na tha
baDh gae kuchh aur un ke hausle
rone walon ko hansana hi na tha
dil ka bhi rakhna tha hum ko kuchh KHayal
is tarah aansu bahana hi na tha
kal zamana KHud miTa deta jinhen
aise naqshon ko miTana hi na tha
be-piye waiz ko meri rae mein
masjid-e-jama mein jaana hi na tha
rah gaya aankhon mein naqsha aap ka
naza mein surat dikhana hi na tha
KHud wo de dete to achchha tha 'aziz'
kya kahen yun zahr khana hi na tha
(784) Peoples Rate This