Partaw-e-husn Kahin Anjuman-afroz To Ho
partaw-e-husn kahin anjuman-afroz to ho
dil-e-pur-dagh mera maya-e-sad-soz to ho
kam se kam koi to saman tere aane ka karun
atlas-e-charKH to ho bistar-e-gul-doz to ho
rang-e-paira-e-chaman-josh mein kaliyan chaTken
khol de band-e-naqab aaj ki nau-roz to ho
dil mein paiwast na ho jo wo nazar hi kya hai
tir tarkash mein agar ho to jigar-doz to ho
na sahi sohbat-e-firdaus jahannam hi sahi
mahfil-e-aish na ho anjuman-e-soz to ho
kya natija hai 'aziz' aisi jabin-sai se
but ka sajda ho magar nasiya-afroz to ho
(793) Peoples Rate This