Kyun Na Ho Shauq Tere Dar Pe Jabin-sai Ka
kyun na ho shauq tere dar pe jabin-sai ka
us mein jauhar hai meri aaina-simai ka
tur kushta hai usi naz-e-KHud-arai ka
barq ki lahr hai naqsha teri angDai ka
ishq ek tabsira hai husn ki ranai par
husn ek falsafa hai ishq ki ruswai ka
aaj ek KHak ka zarra bhi nahin baqi hai
dil-e-barbaad ye hasil hai KHud-arai ka
yaad-e-ayyam ki thi lab pe mere mohar-e-sukut
ab to matam hai bapa dil mein shakebai ka
mauj-dar-mauj rawan baada-e-sar-josh-e-shabab
aalam-e-kaif hai aalam teri angDai ka
hasrat-o-yas ka amboh magar main bekas
aise majmea mein ye aalam meri tanhai ka
tirgi sham-e-lahad ki hai bhayanak lekin
hai ye utra hua jama shab-e-tanhai ka
jazr-o-mad husn ke dariya mein nazar aata hai
qabil-e-did hai aalam teri angDai ka
tere didar se mahrum rahin jab aankhen
koi masraf hi nahin phir meri binai ka
aalam-e-gor-e-ghariban ka ye ghamnak sukut
ek namuna hai mere dil ki shakebai ka
nind un ki agar uD jae to kuchh dur nahin
so gaya jagne wala shab-e-tanhai ka
sher dilkash ho agar safha-e-kaghaz pe 'aziz'
ek muraqqa hai kamal-e-suKHan-arai ka
(792) Peoples Rate This